http-equiv="content-language" content="ll-cc">

Sunday, 17 April 2016

Jazbaat -A-Shayri- sher 0 shayri


1)      Kuch Lamhe Aye Zindagi Me Kuch Lamho Ke Liye,
Aaj Fir Tarste Hain Hum Un Lamho Ke Liye,
Khuda Ne Kaha Kuch Maang Lo,
Maine Kaha Wo Lamhe Fir De Do Kuch Lamho Ke Liye.

2)      Dosti ka shukriya kuch is trah ada karu,
Aap bhul bhi jao to main yaad karu,
Dosti ne bas itna sikhaya hai muze
Ke khud se pahle apke liye dua karu.

3)      Suna Hai Khuda Ke Darbar Se..
Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye..
Kuch to Vaapas Chale Gaye..
Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye.

4)      Aapki hasi bahut pyaari lagti hai,
Aapki har khushi hamein hamari lagti hai,
Kabhi door na karna khud se humein,
Aapki dosti humein jaan se bhi pyaari lagti hai.

5)      Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai,
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai,
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh,
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.

6)      Yaaron ki mehfil ka…
wo manzar bhi ajeeb sa tha,
jahan sab mere kareeb the…
par main kisi ke kareeb na tha.

7)      Dooriyon ki na parwah kiya karo,
Jab dil chahe yaad kiya karo,
Dushman nahi hain dost hain hum aapke.
Mera khat na aaye to khud bhej diya karo!

8)      Zindagi bhi kya ajeeb mod leti hai
Ek waqt aisa tha jab hum apne dosto se kahte the
Chalo milkar kuch plan banate hain
Aur ab
chalo milne ka koi plan banate hain

9)      Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

10)   Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du.

11)   Aaj Khushiyon Ki Koi Badhai Dega,
Nikla Hai Chand To Dikhai Dega,
Ae Dost Dosti Ki Hai Humne Aapse,
Aapka Ek Aansu Bhi Ghira To Sunai Dega.

12)   Wo Doston Ki Mehfil, Vo Muskratey Pal,
Dil Se Judaa Nahi Apnaa Beetaa Hua Kal,
Kabhi Zindgi Guzrti Thi Waqt Bitane Mein,
Aaj Wqt Guzarta Hai Zindgi Bitane Mein.

13)   Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Na rahi tammana kisi jannat ki,
Ae dost teri dosti se vo pyar mila humko.

14)   Ajnabi kuch milte hai aur jane kab dost ban jate hai,
Dil mein nahi baste vo to Dil ka hissa ho jate hai,
Badi haseen lagti hai duniya doston k saath yaro,
Par bada dard hota hai jab kabhi dost ajnabi ho jate hai.


15)   Dosti ka rishta purana nahi hota,
isse bada khajana nahi hota,
dosti to pyar se bhi pavitra hai,
kyoki isme koi pagal ya dewana nahi hota.

Monday, 1 February 2016

Zindagi Shayri- Shayrana Shayri- Sher o Shayri Zindagi ki

1)      Zindgi Dene Wale Marta Chod Gaye,
Apnapan Jatane Wale Tanha Chod Gaye,
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki,
Wo Jo Saath Chalne Wale Apna Rasta Mod Gaye.

2)      Apni To Zindagi ki Ajeeb kahani hai.
Jis Cheez ko Chaha Wo Hi Begani hai
Haste hain Dunia ko Hasane k Liye Warna
Dunia Doob Jaye In Ankhon Main Itna Pani hai.

3)      Samajh Nahi Aaya Aye zindagi Tera Ye Falsafa
Ek Taraf Kehte he Sabar ka Fal Meetha Hota He
Aur Dusri Taraf Kehte hai
waqt kisi ka intazar Nahi karta.

4)      Zindagi tujhse har kadam par samjhota kyun kiya jaye,
Shauk jeene ka hai magar itna bhi nahi ki,
Mar-mar ke jiya jaye.
Jab jalebi ki tarah ulajh hi rahi hai tu Aey zindagi,
Toh fir kyun na tujhe chaashni mai dubokar maza hi le liya jaye.

5)      Maine zindagi se pucha
Sabko itna dard kyo deti ho.
Zindagi ne has kar jawab diya
Hum to sab ko khusi dete hai,
par ek ki khusi
Dusare ka dard ban jati hai..

6)      Kagaz k note se akhir
Kis kis ko khareedoge,
Kismat parakhne k kiye yaha aaj bhi
Sikka hi uchala jata hai.

7)      Jab bhi dekhta hu..
Kisi gareeb ko haste hue
to yakeen aa jata hai
Ke khusyion ka talluq daulat se nahi hota

8)      Seekh raha hu dheere dheere,
Iss duniya k rivaaz,
Jisse matlab nikal jaye,
Usey zindagi se nikaal do.

9)      Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai,
Her Kisi Ko Kisi Na Kisi Ki Talash Hai,
Kisi Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi,
Aur Kisi Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi.

10)   Na sangharsh na takleef
To kya maza hai jene mein
Bade bade toofan tham jate hai
Jab aag lagi ho seene mein..

11)   Agar phisle to utna jante hai,
Agar dube to tairna jante hai,
Agar gire to sammlna jante hai,
Agar tut gaye to judna jante hai,
Pyar ke badle pyar dhutkar ke badle
Uphar dena jante hai,
War ka pratikar
Aur
Har ko jit me badlna jante hai.

12)   Haa ye sach hai k mujhe tumse Mohabbat hai,
Ye bhi sach hai k main tumhari chahat hun,
Par meri zindagi me chahato ki kami to nahi,
Rishte or bhi hai ek sirf tum hi to nahi,
Apni zaat k is pehlu se ajj milwaaon tumhe,
Main kya hun, kaise hun batlaaon tumhe,
Apni Maa ki tarbiyat hun main,
Izzat hon apne Papa ki,
Maan hun apne bhai ka,
Nishaan hun apni behno ki parchai ki,
To behak jaaon main yeh kabhi mumkin hi nahi,
Ke Dil woh sab bhi to rakhte hai, ek tum hi to nahi.

13)   Gham na kar Zindagi bahut badi hai,
Chahat ki mehfil tere liye saji hai,
Bas ek bar muskura kar tho dekh,
Taqdeer khud tujhse milne bahar khadi hai.

14)   Kisi roj yaad na kar pau to khudgarj na samjh lena,
Darasl choti si iss umar mai presaniya bhut hai,
Main bhoola nhi hu kisi ko mere bahot achhe dost hai zmane me,
Bs thodi zindagi uljhi pdi hai do waqt ki roti kmane me.

15)   Lamho ki ek kitaab hain zindagi,
Saanso aur khyalo ka hissab hai zindagi,
Kuch jarurate puri kuch khwaishe aduri,
Bas inhi sawalon ka jawab hain zindagi.

16)   Takdeer ke khel se nirash nahi hote.
Zindagi me kabhi udaas nahi hote.
Hatho ki lakhiro pe yakeen mat karna,
Takdir to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote.

17)   Chubhati to hai jindgi bhi,
Jab sathi nahi milata koi,
Khamosiyo ko mitane wala milta nahi koi,
Magr khamosh rehne ka aaj yug mein koi fayda nahi,
Kyuki khamoshi ka fayda uthata hai har koi.

18)   Apni bebasi par aaj rona sa aaya
Doosron ko nahi maine apno ko azmaaya
Har dost ki tanhaayi door ki
Lekin khud ko har morh par tanha hi paya..!

19)   Hamain Na Muhabbat Mili Na PyaR Mila,
Humko Jo Bhi Mila BeWafa YaaR Mila,
Apni To Ban Gaye Tamasha Zindagi Ka,
Har Koi Apne Maqsad ka TalabGar Mila.

20)   Chote se dil me gum bahut hai,
Zindagi me mile zakham babut hai,
maar hi dalti kab ki duniya humein,
Kambakht dosto ki duao me dam bahut hai.

21)   Zami per rah kar..
asma ko chune ki fitrat hai meri.
par gira kar kisi ko..
Uper uthane ka shook nahi mujhe.

22)   Zindagi Mein Kabhi Kisi Ka Saath Nahi Chodna,
Kyun Ki Kuch Pal Lagte Hai Rishte Banane Mein,
Aur Kuch Pal Lagte Hai Rishte mitane Mein,
Ek Pal Lagta Hai Kisi Ko Rulane Mein,
Aur Zindagi Beet Jati Hai Kisi Ko Bhulaane Mein.

23)   Kehne waalon ka kuch nahi jaata,
Sehne waale kamaal karte hain,
Kaun dhoonde jawaab dardon ke,
Log toh bas sawaal karte hain.

24)   Khamosh baithe toh log kehte hai..
Udaasi acchi nahi,
Zara sa hans le toh
Log muskuraane ki wajah pooch lete hain.


Saturday, 16 January 2016

Dil Ki Baat Shayri ke sath.......shero o shayri

1)      Humare aansu wo jaan na sake,
Mohobbat ki kahani wo maan na sake,
Kaha tha unhone marne k baad b yaad karenge,
Jeete jee to wo yaad kar na sake.

2)      Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke saath har koi nahi marta,
Are Marne ki baat to door rahi,
Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta.

3)      Kitna Dur Nikal Gye Riste Nibhate Nibate,
Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Pate Pate,
Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me,
Aur Hum Thak Gye Muskurate Muskurate.

4)      Duniya Jise Neend Kehti Hai ,
Na Jaane Wo Kya Cheez Hoti Hai,
Aankheon To Hum Bhi Band Karte Hain,
Par Wo To Unse Milne Ki Tarkeeb Hoti Hai,
Hum Neend Ke Shouqin Jyada To Nahi,
Lekin Kuch Khwab Na Dekhe To Guzara Nahi Hota.

5)      Pyaar Karne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,
Isliye Pyaar Ki Baazi Hum Haar Gaye,
Hamari Zindagi Se UnHe Bahot Pyaar Tha,
Shayad Isiliye Wo Hamein Zind hI Maar Gaye.

6)      Dil Ke Sagar Me Lehre Uthaya Na Karo,
Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahot Chot Lagti Hai Mere Dil Ko,
Tum Khwabo Mein Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo.

7)      Ab aansoonon ko aankhon me sajana hoga,
Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga,
Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum,
Hamein logon ki khatir muskurana hoga.

8)      Log puchte hain kyu surkh hain tumhari aankhein,
Hans ke keh deti hoon raat ko so na saki,
Laakh chahoon bhi magar ye keh na sakoon,
Raat ko rone ki hasrat thi magar ro na saki.

9)      Hamse Kare Woh Pyar
Izhaar Kisi Aur Se Kare
Khuda Kare Jis Se Kare Woh Izhaar
Woh Bhi Pyar Kise Aur Se Kare.


10)   Uske Bina Ek Pal Bhi Guzara Nahin
Kisi Aur Ko Humne Dil Mein Utara Nahin
Rukna Kyat Ha Hum Toh Saans Bhi Rok Lete
Par Tumne Dil Se Kabhi Pukara Nahin!