http-equiv="content-language" content="ll-cc">

Friday, 25 September 2015

sher o shayri

SHAYRI

1)     Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!

2)     Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din,
Kya roz garajate ho baras jao kisi din,
Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se,
Phoolo ki tarah mujhpe bikhar jao kisi din.

3)     Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna
Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti hai

4)     Zaruri to nahi ke insaan pyar ki murat ho,
Zaruri nahi ke insaan achcha aur khubsurat ho,
Par sabse sundar wo insaan hai..
Jo aapke sath ho jab aapko uski zarurat ho.

5)     Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

6)     Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

7)    Us Ke Sath Rehte Rehte Hamein Chahat Si Ho Gayi,
Usse Baat Karte Karte Hamein Aadat Si Ho Gayi,
Ek Pal Bhi Na Mile To Najane Bechaini Si Rehti Hai,
Dosti Nibhate Nibhate Hamein Mohabbat Si Ho Gayi…

8)     Ab ho gaya hai aadmi ,khiloono ki tarah
Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah,
Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein
Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!

9)     Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.

10) Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.

11)Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum.
Na tammana hai kisi ko rulayein hum.
Par dua hai us rab se ek hi,
Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.

12)Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako..!

13) Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo,
Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko,
Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.

14) Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.

15) Uthati lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti,
Hauslon ke aage koi deewar nahi hoti,
Jalte hue ik chiraag ne aandhiyon se kaha,
Himmat hai to bujha ke dikha, jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti.

16) Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.

17) Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.

18) Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!

19) Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna,
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho,
Door sahi par yaad rakhna.

20) Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari,
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare,
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari.

21) Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge,
Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye,
Hum aapke har gham bhula denge.

22) Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho.

23) Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

24) Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta.

25) Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.

26) Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.

27) Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha.

28) Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain,
Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.


29) Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai,
Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho.

30) Chehre ki hasi se har gam chupao,
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao.
Khud na rutho kabhi par sabko manao,
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.

31) Ek din sagar ne nadi se pucha,
Kab tak milti rahogi mujh khare jal se?
Nadi ne hans kar kaha,
Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak.

32) Phool bankar muskurana zindagi,
Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi.

33) Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate.

34)   Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalana sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.

35) Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,
Ki zindagi bina unke aadhori lage,
Mohhabat is kadar karo ki,
Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage.

36) Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna,
Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana,
To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana.

37)  Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par,
Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par,
Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate,
Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par.

38) Naam ki kya baat karte ho,
Log chehre tak bhool jate hain.
Tum samander ki baat karte ho,
Log aankhon main doob jate hain.

39) Gile shikwe na dil se laga lena,
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena,
Kal ka kya pata hum ho na ho,
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena.

40) Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,                                           
          Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki.

41) Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.


42) Ankhoo ki aawaz kuch aur hoti hai,
Aansoo ki aag kuch aur hoti hai…
Kaun chahta hai bichhadna apnon se,
Par kismat ki baat kuch aur hoti hai ..

43)Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye,
Ashiqui ke liye hunar hona chaihye,
Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,
Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye.

44) Na koi kisi se door hota hai,
Na koi kisi ke kareeb hota hai,
Pyar khud chal kar aata hai,
Jab koi kisi ka naseeb hota hai.

45) Unki jahan se nirali hai ada,
Andaz unke hai yaaron sabse juda,
Khafa ho jayen to qaatil se kam nahi,
Meharbaan ho jayen to lagne lagte hain khuda.

46) Utray jo zindagi teri gehraiyon mein hum.
Mehfil mein reh ke bhi rahe tanhaaiyon mein hum.
Deewangi nahi to aur kya kahen?
Insaan dhundhte rahe parchhaiyon mein hum.

47) Sath chhutne se rishte nahi tuta karte,
Waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte,
Log kehte hain mera sapna tut gaya,
Tutati to nind hai sapne nahi tuta karte.
 

48) Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko bhi pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Par jiyo aise ki har pal mein zindgi pa sako..!

49) Kashti toofan se nikal sakti hai,
      Shama bujh ke bhi jal sakti hai,
 Mayus na ho irade na badal aye dost,
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.

50) Bina gum khushi ka pata kaise chalega,
Bina roye hansi ka maza kaise milega,
Wo jo bhi karta hai wo hi janta hai…
Agar hum jaan gaye to use khuda kaun kahega.

51) Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharon se puchho,
Leharo se khelna to samandar ka shauk hai,
Lagti hai chot kaisi kinaron se puchho.